Tuesday 26 January 2016

Jawaab jinka nahi wo sawaal hote hain/ जवाब जिनका नही वो सवाल होते हैं

जवाब जिनका नही वो सवाल होते हैं
जो देखने में नही कुछ, कमाल होते हैं

तराशता हूँ तुझे जिन में अपने लफ़्ज़ों से
बहुत हसीन मेरे वो ख़याल होते हैं

हसीन होती हैं जितनी बला की दो आँखें
उसी बला के उन आंखों में जाल होते हैं

वो गुनगुनाते हुए, यूँ ही, जो उठाते हैं
क़दम कहाँ, वो क़यामत की चाल होते हैं

-फ़रहत शहज़ाद



Jawaab jinka nahi wo sawaal hote hain
Jo dekhne mein nahi kuch, kamaal hote hain

Taraashta hoon tujhe jinme apne lafzon se
Bahut haseen mere wo khayaal hote hain

Haseen hoti hain jinki balaa ki do aankhen
Usi balaa ke un aankhon mein jaal hote hain

Wo gungunaate hue yun hi jo uthate hain
Kadam kahan wo kayamat ki chaal hote hain

-Farhat Shehzad

4 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. Jawab jinka nahi.. wo aawaz ho hote.. jagjit singh jaisa koi dubara nahi aate hai..

    ReplyDelete