Friday 16 January 2015

Ye teraa ghar ye meraa ghar, kisi ko dekhna ho gar/ ये तेरा घर ये मेरा घर, किसी को देखना हो गर

ये तेरा घर ये मेरा घर, किसी को देखना हो गर
तो पहले आके माँग ले, मेरी नज़र तेरी नज़र
ये घर बहुत हसीन है

न बादलों की छाँव में, न चाँदनी के गाँव में
न फूल जैसे रास्ते, बने हैं इसके वास्ते
मगर ये घर अजीब है, ज़मीन के क़रीब है
ये ईँट पत्थरों का घर, हमारी हसरतों का घर

जो चाँदनी नहीं तो क्या, ये रोशनी है प्यार की
दिलों के फूल खिल गये, तो फ़िक्र क्या बहार की
हमारे घर ना आयेगी, कभी ख़ुशी उधार की
हमारी राहतों का घर, हमारी चाहतों का घर

यहाँ महक वफ़ाओं की,मोहब्बतों का  रंग है
ये घर तुम्हारा ख़्वाब है, ये घर मेरी उमंग है
न आरज़ू पे क़ैद है, न हौसले पे जंग है
हमारे हौसलों का घर, हमारी हिम्मतों का घर

-जावेद अख़्तर

Movie: Saath Saath


Ye teraa ghar ye meraa ghar, kisi ko dekhna ho gar
To pehle aake maang le, meri nazar teri nazar
Ye ghar bahut haseen hai

Na baadalon ki chaanv mein, na chaandani ke gaanv mein
Na phool jaise raaste, bane hain isake waaste
Magar ye ghar ajeeb hai, zameen ke kareeb hai
Ye int pattharon ka ghar, hamaari hasraton ka ghar

Jo chandani nahi to kya, ye roshani hai pyaar ki
Dilon ke phool khil gaye, to fikr kya bahaar ki
Hamaare ghar naa aayegi, kabhi khushi udhaar ki
Hamaari raahaton ka ghar, hamaari chaahaton ka ghar

Yahan mahak wafaaon ki, mohabbaton ka rang hai
Ye ghar tumhaara khwaab hai, ye ghar meri umang hai
Na aarzoo pe qaid hai, na hausle pe jung hai
Hamaare hausalon ka ghar, hamaari himmaton ka ghar

-Javed Akhtar

No comments:

Post a Comment