Sunday 11 January 2015

Yaad kiya dil ne kahan ho tum/ याद किया दिल ने कहाँ हो तुम

याद किया दिल ने कहाँ हो तुम
झूमती बहार हैं कहाँ हो तुम
प्यार से पुकार लो जहाँ हो तुम
प्यार से पुकार लो जहाँ हो तुम

खो रहे हैं आज किस ख़याल में
दिल फँसा हैं बेकसी के जाल में            (बेकसी = दुःख, कष्ट, बेबसी, विवशता)
मतलबी जहाँ, मेहरबाँ हो तुम

रात ढल चुकी है सुबह हो गयी
मैं तुम्हारी याद लेके खो गयी
अब तो मेरी दास्ताँ हो तुम

तुम हमारी ज़िन्दगी के बाग़ हो
तुम हमारी राह के चिराग़ हो
मेरे लिये आसमाँ हो तुम

-हसरत जयपुरी





Parwaaz - Live concert in Singapore


Yaad kiya dil ne kahan ho tum
Jhoomati bahaar hai kahan ho tum
Pyaar se pukaar lo jahan ho tum
Pyaar se pukaar lo jahan ho tum

Kho rahe ho aaj kis khayaal mein
Dil fansa hai bekasi ke jaal mein
Matlabi jahaan meherbaan ho tum

Raat dhal chukee hai subah ho gayi
Main tumhaari yaad leke kho gayee
Ab to meri dastaan ho tum

Tum hamaari zindagi ke baag ho
Tum hamaari raah ke charaag ho
Mere liye aasmaan ho tum

-Hasrat Jaipuri

No comments:

Post a Comment