Saturday 31 January 2015

Tumse milkar tumhe bhulaana mushkil hai aasaaan nahin/ तुमसे मिलकर तुम्हें भुलाना मुश्किल है आसान नहीं

तुमसे मिलकर तुम्हें भुलाना मुश्किल है आसान नहीं
दीवाने दिल को समझाना, मुश्किल है आसान नहीं

हर रस्ता, हर मंज़र अब तो कोई फ़साना लगता है
जबसे तुम आए हो सारा शहर सुहाना लगता है
जाते लम्हों का ठहराना मुश्किल है आसान नहीं

झुकती आँखें, रुकती साँसें, दर्द अधूरा कहती हैं
दिल की पूरी बातें अक्सर दिल के अंदर रहती हैं
मुँह की बात ज़ुबाँ पर लाना मुश्किल है आसान नहीं

जो हम चाहें वो तुम चाहो फिर भी क्यों ये दूरी है
मिलकर भी हम मिल नहीं पाते ये कैसी मजबूरी है
रस्मों की दीवार गिराना मुश्किल है आसान नहीं


-निदा फ़ाज़ली

Singer: Lata Mangeshkar



Tumse milkar tumhe bhulaana mushkil hai aasaaan nahin
Deewane dil ko samjhana mushkil hai aasaan nahin

Har rasta har manzar ab to koi fasanaa lagta hai
Jab se tum aaye ho saara shehar suhanaa lagta hai
Jaate lamhon ko thehraana mushkil hai aasaan nahin

Jhukti aankhein rukti saansen dard adhuraa kehti hain
Dil ki poori baatein aksar dil ke andar rehti hain
Dil ki baat zubaan par laana mushkil hai aasaan nahin

Jo hum chahen wo tum chaho phir bhi kyon ye doorie hai
Milkar bhi hum mil nahin paate ye kaisi majboori hai
Rasmon ki deewaar giranaa mushkil hai aasaan nahin

-Nida Fazli

No comments:

Post a Comment