Sunday 4 January 2015

Shaayad aa jaayega saaqi ko taras ab ke baras/ शायद आ जायेगा साक़ी को तरस अब के बरस

शायद आ जायेगा साक़ी को तरस अब के बरस
मिल ना पाया है उन आँखों का भी रस अब के बरस

ऐसी छाईं थी कहाँ ग़म की घटायें पहले
हाँ मेरे दीदा–ए–तर खूब बरस अब के बरस

(दीदा–ए–तर =भीगी हुई आँखें)

उफ़ वो उन उमद भरी आँखों के छलकते हुए जाम
पड़ गयी और भी पीने की हवस अब के बरस

पहले ये कब था की वो मेरे हैं मैं उनका हूँ
उनकी यादों ने सताया है तो बस अब के बरस

-राय रामपुरी



Shaayad aa jaayega saaqi ko taras ab ke baras
Mil na paya hai un aankhon ka bhi ras ab ke baras

Aisi chaayi thi kahan gham ki ghatayen pehle
Haan mere deeda-e-tar khoob baras ab ke baras

Uff wo un umad bhari aankhon ke chlakthe huye jaam
Badh gayi aur bhi peene ki hawas ab ke baras

Pehle ye kab tha ki wo mere hain main unka hoon
Unki yaadon ne sataya hai to bas ab ke baras

-Rai Rampuri

No comments:

Post a Comment