Saturday 31 January 2015

Saari duniya ka jo maseeha hai/ सारी दुनिया का जो मसीहा है

सारी दुनिया का जो मसीहा है
अपने ही घर में वो अकेला है

रेत के घर में काँच के रिश्ते
ज़िन्दगी भी अजब तमाशा है

अब कहीं कुछ नज़र नहीं आता
दूर तक ये धुआँ धुआँ क्या है

ज़िन्दगी रास्ता है काँटों का
हो के जिसपे हमें गुज़रना है

मोम के जिस्म धूप की चादर
ऐसा मंज़र भी हमने देखा है

ये मुकद्दर का खेल है सारा
इक भिखारी है एक दाता है

-राजेश जौहरी


Movie : Apne Begaane



Saari duniya ka jo maseeha hai
Apne hi ghar mein wo akela hai

Ret ke ghar khaanch ke rishte
Zindagi bhi ajab tamaasha hai

Ab kahin kuch nazar nahi aata
Door tak ye dhuaan dhuaan kya hai

Zindagi raasta hai kaanton ka
Ho ke jis pe hamen guzarnaa hai

Mom ke jism dhoop ki chaadar
Aisa manzar bhi humne dekha hai

Ye mukaddar ka khel hai saara
Ik bhikhaari hai ek daata hai

-Rajesh Johari

No comments:

Post a Comment