Monday 26 January 2015

Rind jo mujh ko samajhte hain, unhein hosh nahi/ रिंद जो मुझको समझते हैं उन्हे होश नहीं

रिंद जो मुझको समझते हैं उन्हे होश नहीं
मैक़दासाज़ हूँ मै मैक़दाबरदोश नहीं

(मैक़दाबरदोश = शराब का ग़ुलाम)

पाँव उठ सकते नहीं मंज़िल-ए-जाना के ख़िलाफ़
और अगर होश की पूछो तो मुझे होश नहीं

अब तो तासीर-ए-ग़म-ए-इश्क़ यहाँ तक पहुंची
के इधर होश अगर है तो उधर होश नहीं

(तासीर-ए-ग़म-ए-इश्क़ = प्रेम के दुःख का प्रभाव/ असर)

महव-ए-तस्बीह तो सब हैं मगर इद्राक कहाँ
ज़िंदगी ख़ुद ही इबादत है मगर होश नहीं

(माला जपने में तल्लीन), (इद्राक = ज्ञान-बोध)

मिल के इक बार गया है कोई जिस दिन से 'जिगर'
मुझको ये वहम है शायद मेरा आग़ोश नहीं

-जिगर मुरादाबादी


ये अलग बात है साक़ी के मुझे होश नहीं
वर्ना मै कुछ भी हूँ एहसानफ़रामोश नहीं

जो मुझे देखता है नाम तेरा लेता है
मै तो ख़ामोश हूँ हालत मेरी ख़ामोश नहीं

कभी उन मदभरी आँखों से पिया था इक जाम
आज तक होश नहीं होश नहीं होश नहीं

-अब्दुल हमीद अदम





Rind jo mujh ko samajhte hain, unhein hosh nahi
Maikada saaz hoon main maikada bardosh nahi

Paanv uth sakte nahi manzil-e-jaana ke khilaaf
Aur agar hosh ki poocho to mujhe hosh nahi

Ab to taseer-e-gham-e-ishq yahan tak pahunchi
Ke idhar hosh agar hai to udhar hosh nahi

Mehev-e-tasbeeh to sab hai magar idraak kahaan
Zindagi khud hi ibaadat hai magar hosh nahin

Mil ke ik baar gaya hai koi jis din se 'Jigar'
Mujh ko ye waham hai shayad mera aagosh nahin

-Jigar Moradabadi



Ye alag baat hai saaqi ke mujhe hosh nahi
Warna main kuch bhi hoon ehsaanfaraamosh nahi

Jo mujhe dekhta hai naam tera leta hai
Main to khamosh hoon haalat meri khamosh nahi

Kabhi un madbhari aankhon se piya tha ek jaam
Aaj tak hosh nahin, hosh nahin, hosh nahin

-Abdul Hameed Adam

No comments:

Post a Comment