Thursday 29 January 2015

Deewar-o-dar pe naksh banaane ka hai junoon/ दीवार-ओ-दर पे नक़्श बनाने का है जुनून

दीवार-ओ-दर पे नक़्श बनाने का है जुनून
ख़ुद तुझको आज तुझसे चुराने का है जुनून

दुनिया के भीड़ से हट जाने का है जुनून
हर आग में यह जिस्म तपाने का है जुनून

मौत और ज़िन्दगी तो बस मिलती है एक बार
दोनों को शान से ही निभाने का है जुनून

कल तक जो ज़िन्दगी थी बनी आज इक अज़ाब
अब इस अज़ाब में भी सिमट जाने का है जुनून

(अज़ाब = दुख, कष्ट, संकट)

देखो न रूठ जाए कहीं वक़्त हमनशीं
मुट्ठी में वक़्त को भी छुपाने का है जुनून

चलता रहेगा वक़्त का पहिया ऐ जानेमन
दाँव पे अपनी जान लगाने का है जुनून

-नामालूम

Movie: Abhishek


Deewar-o-dar pe naksh banaane ka hai junoon
Khud tujhko aaj tujhse churaane ka hai junoon

Duniya ki bheed se hat jaane ka hai junoon
Har aag mein ye jism tapaane ka hai junoon

Maut aur zindagi to bas milti hai ek baar
Dono ko shaan se hi nibhaane ka hai junoon

Kal tak jo zindagi thi bani aaj ik azaab
Ab is azaab mein bhi simat jaane ka hai junoon

Dekho na rooth jaye kahin waqt humnashin
Mutthi mein waqt ko bhi chupaane ka hai junoon

Chalta rahega waqt ka pahiaa ae jaaneman
Daanv pe apni jaan lagaane ka hai junoon

-Unknown

No comments:

Post a Comment