Friday 16 January 2015

Ab ke baras bhi wo nahin aaye bahaar mein/ अबके बरस भी वो नहीं आये बहार में

अबके बरस भी वो नहीं आये बहार में
गुज़रेगा और एक बरस इंतज़ार में

ये आग इश्क़ की है बुझाने से क्या बुझे
दिल तेरे बस में है ना मेरे इख़्तियार में

है टूटे दिल में तेरी मुहब्बत, तेरा ख़याल
कुछ रंग है बहार के उजड़ी बहार में

आँसू नहीं हैं आँख में लेकिन तेरे बग़ैर
तूफ़ान छुपे हुए हैं दिल-ए-बेक़रार में

-पयाम सईदी



Ab ke baras bhi wo nahin aaye bahaar mein
Guzrega aur ek baras intezaar mein

Ye aag ishq ki hai bujhaane se kya bujhe
Dil tere bas mein hai na mere ikhtiyaar mein

Hai toote dil mein teri mohabbat, tera khayaal
Kuch rang hai bahaar ke ujadi bahaar mein

Aansoo nahi hain aankh mein lekin tere bagair
Toofaan chupe hue hain dil-e-beqraar mein

-Payam Saeedi

No comments:

Post a Comment