Monday 29 December 2014

Muddat mein wo fir taaza mulaakaat ka aalam/ मुद्दत में वो फिर ताज़ा मुलाक़ात का आलम

मुद्दत में वो फिर ताज़ा मुलाक़ात का आलम
ख़ामोश अदाओं में वो जज़्बात का आलम

(आलम = दशा, हालत)

अल्लाह रे वो शिद्दत-ए-जज़्बात का आलम
कुछ कह के वो भूली हुई हर बात का आलम

(शिद्दत-ए-जज़्बात = भावनाओं की तीव्रता/ अधिकता)

आरिज़ से ढलकते हुए शबनम के वो क़तरे
आँखों से झलकता हुआ बरसात का आलम

(आरिज़ = कपोल/ गाल), (शबनम = ओस, यहाँ मतलब आँसू से है)

वो नज़रों ही नज़रों में सवालात की दुनिया
वो आँखों ही आँखों में जवाबात का आलम

-जिगर मुरादाबादी




Muddat mein wo phir taaza mulaakaat ka aalam
Khaamosh adaaon mein wo jazbaat ka aalam

Allaah re wo siddhat-e-jazbaat ka aalam
Kuch keh ke wo bhooli huyee har baat ka aalam

Aariz se dhalakte huye shabnam ke wo qatre
aakhon se jhalakta hua barsaat ka aalam

Wo nazron hi nazron mein sawalaat ki duniya
Wo aakhon hi aakhon mein jawaabaat ka aalam

-Jigar Moradabadi

No comments:

Post a Comment