Monday 1 December 2014

Ab main ration ki qataaron mein nazar aata hoon/ अब मैं राशन की क़तारों में नज़र आता हूँ

अब मैं राशन की क़तारों में नज़र आता हूँ
अपने खेतों से बिछड़ने की सज़ा पाता हूँ

इतनी महंगाई के बाज़ार से कुछ लाता हूँ
अपने बच्चों में उसे बाँट के शरमाता हूँ

अपनी नींदों का लहू पोंछने की कोशिश में
जागते जागते थक जाता हूँ सो जाता हूँ

कोई चादर समझ के खींच ना ले फिर से 'ख़लील'
मैं कफ़न ओढ़ के फुटपाथ पे सो जाता हूँ

-ख़लील धनतेजवी



Ab main ration ki qataaron mein nazar aata hoon
Apne kheton se bichadne ki saza paata hoon

Itnee menhgaayee ke bazaar se kuch laata hoon
Apne bachchon mein use baant ke sharmaata hoon

Apnee neendo ka lahoo pochne ki koshish mein
Jaagte jaagte, thak jaata hoon so jaata hoon

Koi chaadar samajh ke kheench na le fir se 'Khaleel'
Main qafan odh kar footpaath pe so jaata hoon

-Khaleel Dhantejvi

1 comment: