Sunday 19 October 2014

Mili hawaon mein udne ki wo saza yaaro/ मिली हवाओं में उड़ने की वो सज़ा यारो

मिली हवाओं में उड़ने की वो सज़ा यारो
के मैं ज़मीन के रिश्तों से कट गया यारो

वो बेख़याल मुसाफ़िर मैं रास्ता यारो
कहाँ था बस में मेरे उस को रोकना यारो

मेरे क़लम पे ज़माने की गर्द ऐसी थी
के अपने बारे में कुछ भी न लिख सका यारो

तमाम शहर ही जिस की तलाश में गुम था
मैं उस के घर का पता किस से पूछता यारो

-वसीम बरेलवी



Mili hawaon mein udne ki wo saza yaaro
Ke main zameen ke rishton se kat gaya yaaro

Woh be-khayal musafir main raasta yaaro
Kahan tha bas mein mere usko rokna yaaro

Mere kalam pe zamane ki gard aisee thi
Ke apne baare mein kuch bhi na likh saka yaaro

Tamaam sheher hi jiski talaash mein gum tha
Main uske ghar ka pata kis'se poochta yaaro

-Waseem Barelvi

No comments:

Post a Comment