Wednesday 22 October 2014

Koi mausam aisa aaye/ कोई मौसम ऐसा आए

कोई मौसम ऐसा आए
उस को अपने साथ जो लाए

लोगों से तारीफ़ सुनी है
उस से मिल कर देखा जाए

आज भी दिल पर बोझ बहुत है
आज भी शायद नींद ना आए

हाल है दिल का जुगनू जैसा
जलता जाए बुझता जाए

बीते लम्हें कुछ ऐसे हैं
ख़ुशबू जैसे हाथ ना आए

-अज़हर इनायती



Koi mausam aisa aaye
us ko apne saath jo laaye

logon se taareef suni hai
us se mil kar dekha jaaye

aaj bhi dil par bojh bahut hai
aaj bhi shayad neend na aaye

haal hai dil ka jugnoo jaisa
jalta jaaye bujhta jaaye

beete lamhe kuch aise hain
khushboo jaise haath na aaye

-Azhar Inayati

No comments:

Post a Comment