Saturday 4 October 2014

Ek Deewane Ko Ye Aaye Hain Samjhane Kayi/ एक दीवाने को ये आए हैं समझाने कई

एक दीवाने को ये आए हैं समझाने कई
पहले मैं दीवाना था और अब हैं दीवाने कई

मुझको चुप रहना पड़ा बस आप का मुँह देखकर
वरना महफ़िल में थे मेरे जाने पहचाने कई

एक ही पत्थर लगे है हर इबादतगाह में
गढ़ लिये हैं एक ही बुत के सबने अफ़साने कई

मैं वो काशी का मुसलमाँ हूँ के जिसको ऐ ‘नज़ीर’
अपने घेरे में लिये रहते हैं बुतख़ाने कई

-नज़ीर बनारसी






Ek Deewane Ko Ye Aaye Hain Samjhane Kayi
Pahle Main Deewana Tha Aur Ab Hain Deewane Kayi

Mujh Ko Chup Rehna Pada Bas Aap Ka Munh Dekh Kar
Warna Mehfil Mein The Mere Jaane Pehchane Kayi

Ek Hi Patthar Lage Hain Har Ibaadatgaah Mein
Ghadh Liye Hain Ek Hi But Ke Sabne Afsane Kayi

Main Wo Kashi Ka Musalma Hoon Ke Jisko Aye 'Nazeer'
Apne Ghere Mein Liye Rahte Haim ButKhaane Kayi

-Nazeer Banarasi

No comments:

Post a Comment