Wednesday 22 October 2014

Dosti jab kisi se kee jaaye/ दोस्ती जब किसी से की जाये

दोस्ती जब किसी से की जाये
दुश्मनों की भी राय ली जाये

मौत का ज़हर है फ़िज़ाओं में
अब कहाँ जा के साँस ली जाये

बस इसी सोच में हूँ डूबा हुआ
ये नदी कैसे पार की जाये

मेरे माज़ी के ज़ख़्म भरने लगे
आज फिर कोई भूल की जाये

(माज़ी = बीता हुआ समय)

बोतलें खोल के तो पी बरसों
आज दिल खोल कर भी पी जाये

-राहत इंदौरी




Dosti jab kisi se kee jaaye
dushmano ki bhi raaye lee jaaye

maut ka zahar hai fizaon mein
ab kahan ja ke saans lee jaaye

bas isi sonch mein hoon dooba hua
ye nadi kaise paar ki jaaye

mere maazi ke zakhm bharne lage
aaj phir koi bhool ki jaaye

botlayen khol ke to pee barson
aaj dil khol kar bhi pee jaaye

-Rahat Indori

No comments:

Post a Comment