Saturday 18 October 2014

Dhoop mein niklo ghataaon mein naha kar dekho/ धूप में निकलो घटाओं में नहा कर देखो

धूप में निकलो घटाओं में नहा कर देखो
ज़िन्दगी क्या है किताबों को हटा कर देखो

वो सितारा है चमकने दो यूँ ही आँखों में
क्या ज़रूरी है उसे जिस्म बनाकर देखो

पत्थरों में भी ज़ुबाँ होती है दिल होते हैं
अपने घर के दर-ओ-दीवार सजा कर देखो

फ़ासला नज़रों का धोखा भी तो हो सकता है
वो मिलें या न मिलें हाथ बढा़ कर देखो

-निदा फ़ाज़ली



Dhoop mein niklo ghataaon mein naha kar dekho
zindagi kya hai kitaabon ko hataakar dekho

wo sitaaraa chamakane do younhee aankhon mein
kya zarooree hai use jism banaakar dekho

pattharon mein bhee zubaan hoti hai dil hote hain
apane ghar ke dar-o-deewaar sajaakar dekho

faasilaa nazaron ka dhokhaa bhi to ho saktaa hai
wo mile ya na mile haath badhaakar dekho

-Nida Fazli

No comments:

Post a Comment