Wednesday 27 August 2014

Ye to nahin ke gham nahin\ ये तो नहीं के ग़म नहीं

ये तो नहीं के ग़म नहीं,
हाँ मेरी आँख नम नहीं

तुम भी तो तुम नहीं हो आज,
हम भी तो आज हम नहीं

अब न ख़ुशी की है ख़ुशी,
ग़म का भी अब तो ग़म नही

मौत अगरचे मौत है,
मौत से ज़ीस्त कम नहीं

(अगरचे = यद्यपि, हालाँकि), (ज़ीस्त = जीवन)

- फ़िराक़ गोरखपुरी




Ye to nahin ke gham nahin
Haan meri aankh nam nahin

Tum bhi to tum nahin ho aaj
Hum bhi to aaj hum nahin

Ab na khushi kee hai khushi
Gham ka bhi ab to gham nahin

Maut agarche maut hai
Maut se zeest kam nahin

-Firaq Gorakhpuri

No comments:

Post a Comment