Thursday 28 August 2014

Nazar nazar se milakar/ नज़र नज़र से मिलाकर

नज़र नज़र से मिलाकर शराब पीते हैं
हम उनको पास बिठाकर शराब पीते हैं

इसीलिए तो अँधेरा है मैकदे में बहुत
यहाँ घरों को जलाकर शराब पीते हैं

हमें तुम्हारे सिवा कुछ नज़र नहीं आता
तुम्हें नज़र में सजाकर शराब पीते हैं

उन्हीं के हिस्से आती है प्यास ही अक्सर
जो दूसरों को पिलाकर शराब पीते हैं

-तसनीम फ़ारूक़ी



Nazar nazar se milakar sharaab peete hain
hum unko paas bithakar sharaab peete hain

isi liye to andhera hai maikade mein bahut
yahan gharon ko jalaakar sharaab peete hain

hume tumhare siwa kuch nazar nahin aata
tumhe nazar mein sazakar sharaab peete hain

unhi ke hisse mein aati hai pyaas hi aksar
jo doosron ko pilaakar sharaab peete hain

-Tasneem Faarooqi

No comments:

Post a Comment