Thursday 28 August 2014

Kaun aaya raaste/ कौन आया रास्ते

कौन आया रास्ते, आईनाख़ाने हो गए,
रात रौशन हो गई, दिन भी सुहाने हो गए।

ये भी मुमकिन है के मैंने उसको पहचाना न हो,
अब उसे देखे हुए, कितने ज़माने हो गए।

जाओ उन कमरों के आईने उठाकर फेंक दो,
बेअदब ये कह रहें हैं, हम पुराने हो गए।

मेरी पलकों पर ये आँसू, प्यार की तौहीन हैं,
उसकी आँखों से गिरे, मोती के दाने हो गए।

-बशीर बद्र




Kaun aaya raaste aainakhaane ho gaye
raat roshan ho gayee din bhi suhaane ho gaye

ye bhi mumkin hai ke usne mujhko pehchaana na ho
ab use dekhe huye kitne jamaane ho gaye

jaao un kamron ke aaine uthakar phenk do
be-adab ye kah rahen hain hum puraane ho gaye

meri palkon par ye aansoo pyaar ki tauheen hai

unki aankhon se gire moti ke daane ho gaye

-Bashir Badr

No comments:

Post a Comment