Wednesday 27 August 2014

Bahut dinon ki baat hai/ बहुत दिनों की बात है

बहुत दिनों की बात है
फ़िज़ा को याद भी नहीं
ये बात आज की नहीं
बहुत दिनों की बात है

शबाब पर बहार थी
फ़िज़ा भी ख़ुशगवार थी
न जाने क्यूँ मचल पड़ा
मैं अपने घर से चल पड़ा
किसी ने मुझ को रोक कर
बड़ी अदा से टोक कर
कहा था लौट आईए
मेरी क़सम न जाईए

पर मुझे ख़बर न थी
माहौल पर नज़र न थी
न जाने क्यूँ मचल पड़ा
मैं अपने घर से चल पड़ा
मैं शहर से फिर आ गया
ख़याल था कि पा गया
उसे जो मुझसे दूर थी
मगर मेरी ज़रूर थी

और इक हसीन शाम को
मैं चल पड़ा सलाम को
गली का रंग देख कर
नयी तरंग देख कर
मुझे बड़ी ख़ुशी हुई
मैं कुछ इसी ख़ुशी में था
किसी ने झाँक कर कहा
पराए घर से जाईए
मेरी क़सम न आईए

वही हसीन शाम है
बहार जिस का नाम है
चला हूँ घर को छोड़ कर
न जाने जाऊँगा किधर
कोई नहीं जो टोक कर
कोई नहीं जो रोक कर
कहे कि लौट आईए
मेरी क़सम न जाईए

मेरी क़सम ना जाईए

-सलाम मछलीशहरी




Live - in 1980





Bahut dinon ki baat hai
Fizaa ko yaad bhi nahin
Ye baat aaj ki nahin
Bahut dinon ki baat hai

Shabaab par bahaar thi
Fizaa bhi khushgawaar thi
Naa jaane kyoon machal pada
Main apne ghar se chal pada
Kisi ne mujhko rok kar
Badi adaa se tok kar
Kaha tha laut aayiye
Meri kasam naa jaaiye

Par mujhe khabar na thi
Maahol par nazar na thi
Naa jaane kyoon machal pada
Main apne ghar se chal pada
Main shehar se phir aa gaya
Khayal thaa ke paa gaya
Us'e jo mujhse door thi
Magar meri zaroor thi

Aur ik hasin shaam ko
Main chal pada salaam ko
Gali ka rang dekh kar
Nayee tarang dekh kar
Mujhe badi khushi hui
Main kuch isi khushi mein tha
Kisi ne jhaank kar kaha
Paraaye ghar se jaaiye
Meri kasam na aaiye

Wahi haseen shaam hai
Bahaar jiska naam hai
Chala hoon ghar ko chodkar
Na jaane jaaoonga kidhar
Koi nahin jo tok kar
Koi nahin jo rok kar
Kahe ke laut aayiye
Meri kasam na jaayiye

Meri kasam naa jaayiiye

-Salaam Machalishahari

No comments:

Post a Comment