Monday 25 August 2014

Apne HaathoN Kee LakiroN/ अपने हाथों की लकीरों

अपने हाथों की लकीरों में बसा ले मुझको,
मैं हूँ तेरा तो नसीब अपना बना ले मुझको।

मुझसे तू पूछने आया है वफ़ा के माने,
ये तेरी सादा-दिली मार ना डाले मुझको।

ख़ुद को मैं बाँट ना डालूँ कहीं दामन-दामन,
कर दिया तूने अगर मेरे हवाले मुझको।

बादा फिर बादा है मैं ज़हर भी पी जाऊं 'क़तील'
शर्त ये है कोई बाहों में सम्भाले मुझको।

(बादा = शराब)

-क़तील शिफ़ाई

पूरी ग़ज़ल यहाँ पढ़ें : बज़्म-ए-अदब




Apne HaathoN Kee LakiroN MeiN Basa Le Mujhko
Main HooN Tera To Naseeb Apna Bana Le Mujhko

Mujhse Too Poochne Aaya Hai Wafa Ke Maani
Ye Teri Saadaa-Dili Maar Na Daale MuJhko

Khud Ko MaiN BaaNt Na DaalooN KahiN Daaman-Daaman
Kar Diya Tune Agar Mere Hawaale MuJhko

Baada Fir Baada Hai MaiN Zehar Bhi Pee JaaooN Qateel
Shart Ye Hai Koi BaahoN MeiN Sambhaale Mujhko

-Qateel Shifai


No comments:

Post a Comment